Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud ko KHud par hi jo ifsha kabhi karna paD jae

Shehpar Rasool

KHud ko KHud par hi jo ifsha kabhi karna paD jae

Shehpar Rasool

MORE BYShehpar Rasool

    ḳhud ko ḳhud par jo ifshā kabhī karnā paḌ jaa.e

    jaise jiine bahut chaah meñ marnā paḌ jaa.e

    aisā ik vaqt jab aatā hai to kyā karte ho

    dil jo karnā nahīñ chāhe vahī karnā paḌ jaa.e

    ho to mahtāb ke ham-raqs magar aisā na ho

    dāman-e-chashm sitāroñ se bharnā paḌ jaa.e

    jis ko dekhā na kabhī jis tamannā bhī na

    paañv usī shahr ke raste pe jo dharnā paḌ jaa.e

    sūrat-e-ashk-e-nadāmat sahī ai 'shahpar'

    merī āñkhoñ se kabhī us ko guzarnā paḌ jaa.e

    KHud ko KHud par hi jo ifsha kabhi karna paD jae

    jaise jine ki bahut chah mein marna paD jae

    aisa ek waqt jab aata hai to kya karte ho

    dil jo karna nahin chahe wahi karna paD jae

    ho to mahtab ke ham-raqs magar aisa na ho

    daman-e-chashm sitaron hi se bharna paD jae

    jis ko dekha na kabhi jis ki tamanna bhi na ki

    panw usi shahr ke raste pe jo dharna paD jae

    surat-e-ashk-e-nadamat hi sahi ai 'shahpar'

    meri aankhon se kabhi us ko guzarna paD jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now