Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud ko KHudi ka aaina dikhla raha hun main

Baldev Raaj

KHud ko KHudi ka aaina dikhla raha hun main

Baldev Raaj

MORE BYBaldev Raaj

    ḳhud ko ḳhudī aa.ina dikhlā rahā huuñ maiñ

    apnā harīf aap banā rahā huuñ maiñ

    qismat pastiyoñ hadeñ ḳhatm ho chukīñ

    ab rif.atoñ samt uḌā rahā huuñ maiñ

    nākām-e-ārzū huuñ magar uf yaqīn-e-ishq

    dānista phir fareb-e-vafā khā rahā huuñ

    mohar-e-sukūt-e-lab pe hai bahke hue qadam

    ai be-ḳhudī phir aaj kidhar rahā huuñ maiñ

    phir dekhtā huuñ chehra-e-māzī ke ḳhadd-o-ḳhāl

    saaqī sambhāl hosh meñ phir aa rahā huuñ maiñ

    ruk jaa.e jis ke shor se dasht-o-jabal saañs

    us sail-e-ranj-o-ġham meñ bahā rahā huuñ maiñ

    jaane ko huuñ ahāta-e-ālam se dūr-tar

    bas chand roz tum ko nazar aa rahā huuñ maiñ

    shams-o-qamar haiñ raah meñ zarrāt tarah

    kis tajalliyoñ meñ ghirā rahā huuñ maiñ

    thā jo ḳhayāl terī jafāoñ se peshtar

    dil ko usī ḳhayāl se bahlā rahā huuñ maiñ

    baḌh baḌh ke 'raaj mere qadam le rahī hai maut

    kis zindagī samt baḌhā rahā huuñ maiñ

    KHud ko KHudi ka aaina dikhla raha hun main

    apna harif aap bana ja raha hun main

    qismat ki pastiyon ki haden KHatm ho chukin

    ab rifaton ki samt uDa ja raha hun main

    nakaam-e-arzu hun magar uf yaqin-e-ishq

    danista phir fareb-e-wafa kha raha hun

    mohar-e-sukut-e-lab pe hai bahke hue qadam

    ai be-KHudi phir aaj kidhar ja raha hun main

    phir dekhta hun chehra-e-mazi ke KHadd-o-KHal

    saqi sambhaal hosh mein phir aa raha hun main

    ruk jae jis ke shor se dasht-o-jabal ki sans

    us sail-e-ranj-o-gham mein baha ja raha hun main

    jaane ko hun ahata-e-alam se dur-tar

    bas chand roz tum ko nazar aa raha hun main

    shams-o-qamar hain rah mein zarraat ki tarah

    kis ki tajalliyon mein ghira ja raha hun main

    tha jo KHayal teri jafaon se peshtar

    dil ko usi KHayal se bahla raha hun main

    baDh baDh ke 'raj mere qadam le rahi hai maut

    kis zindagi ki samt baDha ja raha hun main

    Source:

    Naqoos (Pg. 40)

    • Author: Baldev Raaj
      • Publisher: Maktaba-e-Danish Mazang, Lahore
      • Year of Publication: 1944
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now