Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud ko pa-basta-e-zanjir kiye ja chup-chap

Rafique Khayal

KHud ko pa-basta-e-zanjir kiye ja chup-chap

Rafique Khayal

MORE BYRafique Khayal

    ḳhud ko pā-basta-e-zanjīr kiye chup-chāp

    ḳhvāb sharminda-e-ta.abīr kiye chup-chāp

    ḳhāma-e-ranj-o-alam se ruḳh-e-kam-mā.egī par

    nusrat-e-jāvedāñ tahrīr kiye chup-chāp

    ye amal bā.is-e-taskīn-e-junūñ bhī hogā

    jazba-e-ishq ta.amīr kiye chup-chāp

    ġham-e-daurāñ aziyyat bhī to dil sahtā hai

    ġham-e-jānāñ ko bhī jāgīr kiye chup-chāp

    zaḳhm gahre to ba-zid shauq mire kartā rahā

    us masīhā.ī tadbīr kiye chup-chāp

    maqsad-e-zindagī khultā chalā jā.egā

    apne dil meñ use tasvīr kiye chup-chāp

    shā.irī se hai 'ḳhayāl' us ko shaġhaf sheroñ meñ

    apne jazbāt ko tasḳhīr kiye chup-chāp

    KHud ko pa-basta-e-zanjir kiye ja chup-chap

    KHwab sharminda-e-tabir kiye ja chup-chap

    KHama-e-ranj-o-alam se ruKH-e-kam-maegi par

    nusrat-e-jawedan tahrir kiye ja chup-chap

    ye amal bais-e-taskin-e-junun bhi hoga

    jazba-e-ishq ki tamir kiye ja chup-chap

    gham-e-dauran ki aziyyat bhi to dil sahta hai

    gham-e-jaanan ko bhi jagir kiye ja chup-chap

    zaKHm gahre to ba-zid shauq mere karta raha

    us masihai ki tadbir kiye ja chup-chap

    maqsad-e-zindagi khulta hi chala jaega

    apne dil mein use taswir kiye ja chup-chap

    shairi se hai 'KHayal' us ko shaghaf sheron mein

    apne jazbaat ko tasKHir kiye ja chup-chap

    Source:

    Tujhe ky Maloom (Pg. 69)

    • Author: Rafique Khayaal
      • Edition: 2007
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now