Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud ko tanhai mein ghairon ki nazar se dekho

Natiq Azmi

KHud ko tanhai mein ghairon ki nazar se dekho

Natiq Azmi

MORE BYNatiq Azmi

    ḳhud ko tanhā.ī meñ ġhairoñ nazar se dekho

    apnā ghar duur bhī ho kar kabhī ghar se dekho

    maañd paḌ jā.eñge ik roz ye chehre ke nuqūsh

    aa.ina dekho to ibrat nazar se dekho

    achchhī nazroñ to hotā hai asar bhī achchhā

    aib dekho jo kisī to hunar se dekho

    kitnī kāvish se jilā de ke sañvārā hogā

    aa.ine ko nigah-e-ā.ina-gar se dekho

    koī pahlū bhī samajh meñ nahīñ aatā us

    zindagī ek muamma hai jidhar se dekho

    ḳhush na ho dekh ke dushman pe bhī aafat ghaTā

    sar pe apne na kahīñ TuuT ke barse dekho

    ye ġhalat hai ki nahīñ hai koī sunñe vaalā

    kitnī mahrūm hai fariyād asar se dekho

    kyā kaheñ phir koī sīñchī ga.ī maqtal zamīñ

    bū-e-ḳhūñ le ke sabā aa.ī kidhar se dekho

    har shab-e-tār ke dāman meñ ujāle bhar do

    har añdhere ko charāġhoñ nazar se dekho

    daaġh daaġh ho aisā to nahīñ hai 'nātiq'

    aadmī saaf jidhar se ho udhar se dekho

    KHud ko tanhai mein ghairon ki nazar se dekho

    apna ghar dur bhi ho kar kabhi ghar se dekho

    mand paD jaenge ek roz ye chehre ke nuqush

    aaina dekho to ibrat ki nazar se dekho

    achchhi nazron ka to hota hai asar bhi achchha

    aib dekho jo kisi ka to hunar se dekho

    kitni kawish se jila de ke sanwara hoga

    aaine ko nigah-e-aina-gar se dekho

    koi pahlu bhi samajh mein nahin aata us ka

    zindagi ek muamma hai jidhar se dekho

    KHush na ho dekh ke dushman pe bhi aafat ki ghaTa

    sar pe apne na kahin TuT ke barse dekho

    ye ghalat hai ki nahin hai koi sunne wala

    kitni mahrum hai fariyaad asar se dekho

    kya kahen phir koi sinchi gai maqtal ki zamin

    bu-e-KHun le ke saba aai kidhar se dekho

    har shab-e-tar ke daman mein ujale bhar do

    har andhere ko charaghon ki nazar se dekho

    dagh hi dagh ho aisa to nahin hai 'natiq'

    aadmi saf jidhar se ho udhar se dekho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now