Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud-nigar the aur mahw-e-did-e-husn-e-yar the

Razi Mujtaba

KHud-nigar the aur mahw-e-did-e-husn-e-yar the

Razi Mujtaba

MORE BYRazi Mujtaba

    ḳhud-nigar the aur mahv-e-dīd-e-husn-e-yār the

    ham ki apne rū-ba-rū shīsha ik dīvār the

    phir nigāhoñ ne bune the chaar ḳhvāboñ ke jaal

    sū-ba-sū phir rishta-gar vahm-o-gumāñ ke taar the

    muḳhtasar hai hamārā qissa-e-shauq-e-safar

    abr-e-āvāra the ham lekin sar-e-kohsār the

    ḳhanda-rez o girya-gīñ thī zaḳhm-e-ḳhātir numūd

    duur duniyā ke ta.ayyun se mire āzār the

    maiñ savād-e-dasht-e-tanhā.ī phaltā peḌ thā

    sabz zahr-e-be-kasī se mere barg-o-bār the

    bujh gayā thā dil hamārā ba.ad-e-sharh-e-ārzū

    ham kahne ga.e to kushta-e-izhār the

    rā.egāñ thī apnī āb-o-tāb bhī kyā kyā 'razī'

    ham ki ik be-ma.arka aur be-adū talvār the

    KHud-nigar the aur mahw-e-did-e-husn-e-yar the

    hum ki apne ru-ba-ru shisha ki ek diwar the

    phir nigahon ne bune the chaar su KHwabon ke jal

    su-ba-su phir rishta-gar wahm-o-guman ke tar the

    muKHtasar sa hai hamara qissa-e-shauq-e-safar

    abr-e-awara the hum lekin sar-e-kohsar the

    KHanda-rez o girya-gin thi zaKHm-e-KHatir ki numud

    dur duniya ke tayyun se mere aazar the

    main sawad-e-dasht-e-tanhai ka phalta peD tha

    sabz zahr-e-be-kasi se mere barg-o-bar the

    bujh gaya tha dil hamara baad-e-sharh-e-arzu

    ji ki hum kahne gae to kushta-e-izhaar the

    raegan thi apni aab-o-tab bhi kya kya 'razi'

    hum ki ek be-marka aur be-adu talwar the

    Source :
    • Book : URDU INTERNATIONAL (Pg. 138)
    • Author : Ashfaq Hussain
    • Publication : 9-Thirty fifth Street, Suite 2, Toronto, Ontario, Canada M8W 3J8 (February 1983, February 1983,Issue No:1 ,Volume 2)
    • Edition : February 1983, February 1983,Issue No:1 ,Volume 2
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now