KHud se milne ki justuju tum ho
ḳhud se milne kī justujū tum ho
jis pe martā huuñ ḳhūb-rū tum ho
naaz kartā huuñ aaj maiñ dil par
dil hai merā to aarzū tum ho
har ghaḌī ḳhud ko bhuul jaatā huuñ
har ghaḌī mere rū-ba-rū tum ho
jān-e-muztar kī be-qarārī meñ
jab bhī dekhā hai chār-sū tum ho
ḳhāmushī bhī kalām kartī hai
gūñge sapnoñ kī guftugū tum ho
KHud se milne ki justuju tum ho
jis pe marta hun KHub-ru tum ho
naz karta hun aaj main dil par
dil hai mera to aarzu tum ho
har ghaDi KHud ko bhul jata hun
har ghaDi mere ru-ba-ru tum ho
jaan-e-muztar ki be-qarari mein
jab bhi dekha hai chaar-su tum ho
KHamushi bhi kalam karti hai
gunge sapnon ki guftugu tum ho
- Book : al-aqraba magazine islamabad Pakistan quarterly-July-september-2015 (Pg. (شائع شدہ سہ ماہی الاقرباء اسلام آباد پاکستان شمارہ جولائی .ستمبر ۲۰۱۵))
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.