Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda-e-pak abhi itna mehrban to hai

Ameer Hamza Aazmi

KHuda-e-pak abhi itna mehrban to hai

Ameer Hamza Aazmi

MORE BYAmeer Hamza Aazmi

    ḳhudā-e-pāk abhī itnā mehrbān to hai

    hamāre sar ye kirā.e sā.ebān to hai

    aTak aTak ke sahī kuchh to bol letā huuñ

    ki TūTī-phūTī merī bhī ik zabān to hai

    bachā ke rakkhā hai aslāf amānat ko

    hamāre ghar meñ buzurgoñ pān-dān to hai

    ḳhudā ke bande ḳhudā.ī pe faḳhr paidā kar

    tirī zamīñ na sahī terā āsmān to hai

    kisī jazba-e-ulfat kisī josh-e-junūñ

    abhī javān huā thā abhī javān to hai

    samajh ke is ko huqūq-ul-ibād zinda huuñ

    mirī galī meñ paḌosī nāb-dān to hai

    yahīñ pe baiTh parinde shikār kar 'hamza'

    yahāñ pe sher nahīñ sher machān to hai

    KHuda-e-pak abhi itna mehrban to hai

    hamare sar ye kirae ka saeban to hai

    aTak aTak ke sahi kuchh to bol leta hun

    ki TuTi-phuTi si meri bhi ek zaban to hai

    bacha ke rakkha hai aslaf ki amanat ko

    hamare ghar mein buzurgon ka pan-dan to hai

    KHuda ke bande KHudai pe faKHr paida kar

    teri zamin na sahi tera aasman to hai

    kisi ka jazba-e-ulfat kisi ka josh-e-junun

    abhi jawan hua tha abhi jawan to hai

    samajh ke is ko huquq-ul-ibaad zinda hun

    meri gali mein paDosi ka nab-dan to hai

    yahin pe baiTh parinde shikar kar 'hamza'

    yahan pe sher nahin sher ka machan to hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now