KHuda ka lakh shukr hai ki sab nihan nahin rahe
ḳhudā kā laakh shukr hai ki sab nihāñ nahīñ rahe
jo āstīñ ke saañp the vo ab yahāñ nahīñ rahe
bahut dinoñ kī baat hai yahīñ kahīñ pe zaḳhm the
ye dekh kar ḳhushī huī ki ab nishāñ nahīñ rahe
aur ek din ham aap kī ye duniyā chhoḌ jā.eñge
ḳhabar milegī aap ko ki ham yahāñ nahīñ rahe
na pahle jaisī sarkashī na dil meñ koī ḳhvāhisheñ
kabhī kabhī to lagtā hai ki ham javāñ nahīñ rahe
nikal ke tere dil se ham jo lā-makāñ meñ kho ga.e
tū soch kar zarā batā ki ab kahāñ nahīñ rahe
hamāre dil ne aaj bhī hameñ kahā ki baat sun
fulāñ ko dafn kar diyā aur ab fulāñ nahīñ rahe
KHuda ka lakh shukr hai ki sab nihan nahin rahe
jo aastin ke sanp the wo ab yahan nahin rahe
bahut dinon ki baat hai yahin kahin pe zaKHm the
ye dekh kar KHushi hui ki ab nishan nahin rahe
aur ek din hum aap ki ye duniya chhoD jaenge
KHabar milegi aap ko ki hum yahan nahin rahe
na pahle jaisi sarkashi na dil mein koi KHwahishen
kabhi kabhi to lagta hai ki hum jawan nahin rahe
nikal ke tere dil se hum jo la-makan mein kho gae
tu soch kar zara bata ki ab kahan nahin rahe
hamare dil ne aaj bhi hamein kaha ki baat sun
fulan ko dafn kar diya aur ab fulan nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.