Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda ka shukr hai girdab se nikal aaya

Mahboob Zafar

KHuda ka shukr hai girdab se nikal aaya

Mahboob Zafar

MORE BYMahboob Zafar

    ḳhudā shukr hai girdāb se nikal aayā

    maiñ us ke halqa-e-ahbāb se nikal aayā

    sajī huī thiiñ dukāneñ munāfiqat jahāñ

    maiñ aise qarya-e-be-ḳhvāb se nikal aayā

    bahut dinoñ se hisār-e-tilism-e-ḳhvāb meñ thā

    tilism TuuT gayā ḳhvāb se nikal aayā

    atā huī hai mohabbat saltanat jab se

    maiñ shahr-e-dīda-e-ḳhūñ-nāb se nikal aayā

    kabhī gulāb se aane lagī mahak us

    kabhī vo anjum o mahtāb se nikal aayā

    anā naav jahāñ Doltī phire 'mahbūb'

    maiñ us fareb ke sailāb se nikal aayā

    KHuda ka shukr hai girdab se nikal aaya

    main us ke halqa-e-ahbab se nikal aaya

    saji hui thin dukanen munafiqat ki jahan

    main aise qarya-e-be-KHwab se nikal aaya

    bahut dinon se hisar-e-tilism-e-KHwab mein tha

    tilism TuT gaya KHwab se nikal aaya

    ata hui hai mohabbat ki saltanat jab se

    main shahr-e-dida-e-KHun-nab se nikal aaya

    kabhi gulab se aane lagi mahak us ki

    kabhi wo anjum o mahtab se nikal aaya

    ana ki naw jahan Dolti phire 'mahbub'

    main us fareb ke sailab se nikal aaya

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 01.11.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now