KHuda ka shukr sahaare baghair bit gai
ḳhudā kā shukr sahāre baġhair biit ga.ī
hamārī 'umr tumhāre baġhair biit ga.ī
huī na sham' farozāñ koī añdhere meñ
shab-e-firāq sitāre baġhair biit ga.ī
vo zindagī jo guzāre nahīñ guzartī thī
tire tufail guzāre baġhair biit ga.ī
na bīt.tī thī kabhī jis kī chāñd-rāt us kī
suhāg-rāt hamāre baġhair biit ga.ī
'sha'ūr' tez rahī zindagī kī dauḌ itnī
ki haar jiit shumāre baġhair biit ga.ī
KHuda ka shukr sahaare baghair bit gai
hamari 'umr tumhaare baghair bit gai
hui na sham' farozan koi andhere mein
shab-e-firaq sitare baghair bit gai
wo zindagi jo guzare nahin guzarti thi
tere tufail guzare baghair bit gai
na bitti thi kabhi jis ki chand-raat us ki
suhag-raat hamare baghair bit gai
'sha'ur' tez rahi zindagi ki dauD itni
ki haar jit shumare baghair bit gai
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 54)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.