aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda ki kaun si hai rah behtar jaanta hai

Amit Ahad

KHuda ki kaun si hai rah behtar jaanta hai

Amit Ahad

MORE BYAmit Ahad

    ḳhudā kaun hai raah behtar jāntā hai

    maza hai nekiyoñ meñ kyā qalandar jāntā hai

    bahut hamdard haiñ mere magar anjān haiñ sab

    mire zaḳhmoñ hālat ko rafūgar jāntā hai

    kisī se maiñ nahīñ kahtā magar merī ġharībī

    mirī dīvāroñ ukhḌā plastar jāntā hai

    kabhī mandir kabhī masjid pe hai is baserā

    dharam insāniyat bas kabūtar jāntā hai

    sanam terī judā.ī meñ kaTā hai vaqt mushkil

    gine din hijr meñ kitne calendar jāntā hai

    kahīñ bhar peT roTī to kahīñ se haath ḳhālī

    kisī kaisī hai niyyat gadāgar jāntā hai

    maiñ pyāsā rah ke bhī minnat nahīñ kartā kisī

    bahut ḳhuddār huuñ maiñ ye samundar jāntā hai

    kisī bhī vaqt ye mazlūm kar deñge baġhāvat

    sitam ho chukī hai had sitamgar jāntā hai

    raheñ arthī se bāhar haath us qaul hai ye

    na kuchh bhī saath jā.egā sikandar jāntā hai

    tumhārī yaad meñ rāteñ kaTī haiñ mushkiloñ se

    rahā huuñ kitnā maiñ bechain bistar jāntā hai

    na hogā dūsrā paidā jahāñ meñ koī gāñdhī

    bahut achchhī tarah se porbandar jāntā hai

    yahāñ hai bhiiḌ meñ bhī kis qadar har shaḳhs tanhā

    tumhāre shahr har ek manzar jāntā hai

    'ahad' jiine ko to sab rahe haiñ is jahāñ meñ

    magar is ziist matlab suḳhanvar jāntā hai

    KHuda ki kaun si hai rah behtar jaanta hai

    maza hai nekiyon mein kya qalandar jaanta hai

    bahut hamdard hain mere magar anjaan hain sab

    mere zaKHmon ki haalat ko rafugar jaanta hai

    kisi se main nahin kahta magar meri gharibi

    meri diwaron ka ukhDa plastar jaanta hai

    kabhi mandir kabhi masjid pe hai is ka basera

    dharam insaniyat ka bas kabutar jaanta hai

    sanam teri judai mein kaTa hai waqt mushkil

    gine din hijr mein kitne calendar jaanta hai

    kahin bhar peT roTi to kahin se hath KHali

    kisi ki kaisi hai niyyat gadagar jaanta hai

    main pyasa rah ke bhi minnat nahin karta kisi ki

    bahut KHuddar hun main ye samundar jaanta hai

    kisi bhi waqt ye mazlum kar denge baghawat

    sitam ki ho chuki hai had sitamgar jaanta hai

    rahen arthi se bahar hath us ka qaul hai ye

    na kuchh bhi sath jaega sikandar jaanta hai

    tumhaari yaad mein raaten kaTi hain mushkilon se

    raha hun kitna main bechain bistar jaanta hai

    na hoga dusra paida jahan mein koi gandhi

    bahut achchhi tarah se porbandar jaanta hai

    yahan hai bhiD mein bhi kis qadar har shaKHs tanha

    tumhaare shahr ka har ek manzar jaanta hai

    'ahad' jine ko to sab ji rahe hain is jahan mein

    magar is zist ka matlab suKHanwar jaanta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now