Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda ki sharm na kuchh ehtiram masjid ka

Zubair Hamza

KHuda ki sharm na kuchh ehtiram masjid ka

Zubair Hamza

MORE BYZubair Hamza

    ḳhudā sharm na kuchh ehtirām masjid

    lagā huā hai dukānoñ pe naam masjid

    ba-hukm-e-ishq jhukā us ke sāmne varna

    vo devī aur maiñ beTā imaam masjid

    ye ḳhuun thūktī maḳhlūq usī kunba hai

    samajh liyā jise tum ne tamām masjid

    ajiib qahr hai mimbar pe tanz karte haiñ

    vo log muñh bhī hai jin par harām masjid

    haqīqatan to 'zubair' aage ma.abad-e-dil ke

    jo koī samjhe to kam hai maqām masjid

    KHuda ki sharm na kuchh ehtiram masjid ka

    laga hua hai dukanon pe nam masjid ka

    ba-hukm-e-ishq jhuka us ke samne warna

    wo dewi aur main beTa imam masjid ka

    ye KHun thukti maKHluq usi ka kunba hai

    samajh liya jise tum ne tamam masjid ka

    ajib qahr hai mimbar pe tanz karte hain

    wo log munh bhi hai jin par haram masjid ka

    haqiqatan to 'zubair' aage mabad-e-dil ke

    jo koi samjhe to kam hai maqam masjid ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now