KHuda ne husn diya hai tumhein shabab ke sath
ḳhudā ne husn diyā hai tumheñ shabāb ke saath
subū-o-jām khanakte hue rabāb ke saath
laboñ se chhū ke pilāo sharāb vā'iz ko
purāne log haiñ piite haiñ ye gulāb ke saath
ye kis kī zulf-e-pareshāñ kā faiz hai yaaro
tamām 'umr guzārī hai pech-o-tāb ke saath
khilī huī jo hai sūraj-mukhī gulistāñ meñ
ye kis ne aañkh milā.ī hai āftāb ke saath
kahāñ vo garmī-e-'azm-o-'amal vo qurbānī
vo josh ḳhatm huā daur-e-inqilāb ke saath
ḳhudī ko faḳhr hai hamdam anā ko ham par naaz
ki ham ne 'umr guzārī hai āb-o-tāb ke saath
rivāyatoñ ko kabhī chhoḌte nahīñ 'gulzār'
shagūfe rahte haiñ har vaqt kuchh janāb ke saath
KHuda ne husn diya hai tumhein shabab ke sath
subu-o-jam khanakte hue rabab ke sath
labon se chhu ke pilao sharab wa'iz ko
purane log hain pite hain ye gulab ke sath
ye kis ki zulf-e-pareshan ka faiz hai yaro
tamam 'umr guzari hai pech-o-tab ke sath
khili hui jo hai suraj-mukhi gulistan mein
ye kis ne aankh milai hai aaftab ke sath
kahan wo garmi-e-'azm-o-'amal wo qurbani
wo josh KHatm hua daur-e-inqilab ke sath
KHudi ko faKHr hai hamdam ana ko hum par naz
ki hum ne 'umr guzari hai aab-o-tab ke sath
riwayaton ko kabhi chhoDte nahin 'gulzar'
shagufe rahte hain har waqt kuchh janab ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.