KHuda ne KHush mujhe auqat se ziyaada kiya
ḳhudā ne ḳhush mujhe auqāt se ziyāda kiyā
ki haath tang rakhā aur dil kushāda kiyā
muhīt chāroñ taraf ek ism hai jis ne
nazar meñ rang bhare aa.ine ko saada kiyā
kabhī falak kabhī dhartī ne dī panāh mujhe
kabhī ḳhudā se kabhī ḳhud se istifāda kiyā
azal se us kā giraftār-e-‘ishq huuñ jis ne
diye ko raushnī meñ chāñd se ziyāda kiyā
bas ek sat.h-e-yaqīñ par rahe hamesha ham
na maiñ ne 'arz kabhī kī na us ne vā'da kiyā
tirā karam ki koī kaam aa paḌā us dam
maiñ jab kabhī tire inkār kā irāda kiyā
mire ḳhudā ne mirā rizq mujh ko pahuñchāyā
'jamāl' ghar se nikalne kā jab irāda kiyā
KHuda ne KHush mujhe auqat se ziyaada kiya
ki hath tang rakha aur dil kushada kiya
muhit chaaron taraf ek ism hai jis ne
nazar mein rang bhare aaine ko sada kiya
kabhi falak kabhi dharti ne di panah mujhe
kabhi KHuda se kabhi KHud se istifada kiya
azal se us ka giraftar-e-‘ishq hun jis ne
diye ko raushni mein chand se ziyaada kiya
bas ek sath-e-yaqin par rahe hamesha hum
na main ne 'arz kabhi ki na us ne wa'da kiya
tera karam ki koi kaam aa paDa us dam
main jab kabhi tere inkar ka irada kiya
mere KHuda ne mera rizq mujh ko pahunchaya
'jamal' ghar se nikalne ka jab irada kiya
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 91)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.