KHuda ne to sabr aazmaya mera
ḳhudā ne to sabr āzmāyā mirā
magar tum ne kyoñ dil dukhāyā mirā
ġhamoñ ke the apne ḳhasāre magar
ḳhushī ne to ghar bech khāyā mirā
chalā to maiñ shāyad qadam do qadam
bharosa magar lauT aayā mirā
mirā haath hogā garebān par
koī kuchh agar kar na paayā mirā
chhupā kar huā mujh ko Dhāne kā kaam
so malba bhī andar girāyā mirā
kahāñ kab use kaam meñ le liyā
ye qātil nahīñ jaan paayā mirā
mirā jism bhī ye nahīñ jāntā
kahāñ ḳhatm hotā hai saaya mirā
KHuda ne to sabr aazmaya mera
magar tum ne kyon dil dukhaya mera
ghamon ke the apne KHasare magar
KHushi ne to ghar bech khaya mera
chala to main shayad qadam do qadam
bharosa magar lauT aaya mera
mera hath hoga gareban par
koi kuchh agar kar na paya mera
chhupa kar hua mujh ko Dhane ka kaam
so malba bhi andar giraya mera
kahan kab use kaam mein le liya
ye qatil nahin jaan paya mera
mera jism bhi ye nahin jaanta
kahan KHatm hota hai saya mera
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 109)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.