Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda ne usko koi gham nahin dikhaya tha

Aziz Akhtar

KHuda ne usko koi gham nahin dikhaya tha

Aziz Akhtar

MORE BYAziz Akhtar

    ḳhudā ne us ko koī ġham nahīñ dikhāyā thā

    ajiib shaḳhs thā jaane kahāñ se aaya thā

    ye kyā sitam hai ki yaad aa rahā hai phir se

    abhī abhī to tujhe merī jaañ bhulāyā thā

    mire ḳhudā vo kisī aur panāh meñ hai

    vo jis ko ne mire vāste banāyā thā

    luTā diyā hai jo kuchh milkiyat meñ thā apnī

    tire liye kamāyā thā jo kamāyā thā

    utar gayā hai kisī aur ke vajūd meñ vo

    jo ek shaḳhs mirī zaat meñ samāyā thā

    'azīz' qatl bhī kis ne kiyā hai dekh zarā

    vo jaañ pe khel ke apnī jise banāyā thā

    KHuda ne us ko koi gham nahin dikhaya tha

    ajib shaKHs tha jaane kahan se aaya tha

    ye kya sitam hai ki yaad aa raha hai tu phir se

    abhi abhi to tujhe meri jaan bhulaya tha

    mere KHuda wo kisi aur ki panah mein hai

    wo jis ko tu ne mere waste banaya tha

    luTa diya hai jo kuchh milkiyat mein tha apni

    tere liye hi kamaya tha jo kamaya tha

    utar gaya hai kisi aur ke wajud mein wo

    jo ek shaKHs meri zat mein samaya tha

    'aziz' qatl bhi kis ne kiya hai dekh zara

    wo jaan pe khel ke apni jise banaya tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now