Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda-parast mile aur na but-parast mile

Aale Ahmad Suroor

KHuda-parast mile aur na but-parast mile

Aale Ahmad Suroor

MORE BYAale Ahmad Suroor

    ḳhudā-parast mile aur na but-parast mile

    mile jo log vo apne nashe meñ mast mile

    kahīñ ḳhud apnī durustī dukh nahīñ dekhā

    bahut jahāñ durustī ke bandobast mile

    kahīñ to ḳhāk-nashīñ kuchh buland bhī hoñge

    hazāroñ apnī bulandī meñ kitne past mile

    ye sahl fat.h to phīkī lag rahī hai mujhe

    kisī aziim muhim meñ kabhī shikast mile

    ye shāḳh-e-gul lachak bhī payām rakhtī hai

    basān-e-teġh the jo ham ko haq-parast mile

    sunā hai chand tahī-dāmanoñ meñ zarf to thā

    'surūr' ham ko tavañgar bhī tañg-dast mile

    KHuda-parast mile aur na but-parast mile

    mile jo log wo apne nashe mein mast mile

    kahin KHud apni durusti ka dukh nahin dekha

    bahut jahan ki durusti ke bandobast mile

    kahin to KHak-nashin kuchh buland bhi honge

    hazaron apni bulandi mein kitne past mile

    ye sahl fath to phiki si lag rahi hai mujhe

    kisi azim muhim mein kabhi shikast mile

    ye shaKH-e-gul ki lachak bhi payam rakhti hai

    basan-e-tegh the jo hum ko haq-parast mile

    suna hai chand tahi-damanon mein zarf to tha

    'surur' hum ko tawangar bhi tang-dast mile

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHuda-parast mile aur na but-parast mile Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now