Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda shahid buto do-jag se ye sauda hai nirwala

Wali Uzlat

KHuda shahid buto do-jag se ye sauda hai nirwala

Wali Uzlat

MORE BYWali Uzlat

    ḳhudā shāhid buto do-jag se ye saudā hai nirvālā

    maiñ do bādām-e-chashm-e-lutf par dil bechne vaalā

    dono aalam se mashrab mast-e-vahdat hai nirvālā

    mire ek haath meñ tasbīh hai ik haath meñ pyālā

    nahīñ is saal vo ḳhūnīñ-nayan bhūre alak vaalā

    lago laalā ko aag aur ho jo nā-farmāñ muñh kaalā

    vo shīrīñ-lab bosa kyūñke chhoḌe mujh matvālā

    ki juuñ laala bichhaḌte us dahan se daaġh ho paalā

    nahīñ fāriġh maiñ ba.ad-az-marg bhī soz-e-mohabbat se

    mirā ḳhuuñ dāman-e-qātil meñ hogā daaġh juuñ laalā

    vo nā-farmāñ banā ḳhūn-e-jigar se mai na uzlat

    kabāb-e-dil aatī hai har pyāle se juuñ laalā

    KHuda shahid buto do-jag se ye sauda hai nirwala

    main do baadam-e-chashm-e-lutf par dil bechne wala

    dono aalam se mashrab mast-e-wahdat ka hai nirwala

    mere ek hath mein tasbih hai ek hath mein pyala

    nahin is sal wo KHunin-nayan bhure alak wala

    lago lala ko aag aur ho jo na-farman ka munh kala

    wo shirin-lab ka bosa kyunke chhoDe mujh sa matwala

    ki jun lala bichhaDte us dahan se dagh ho pala

    nahin farigh main baad-az-marg bhi soz-e-mohabbat se

    mera KHun daman-e-qatil mein hoga dagh jun lala

    wo na-farman bana KHun-e-jigar se mai na pi uzlat

    kabab-e-dil ki bu aati hai har pyale se jun lala

    Source:

    Deewan-e-uzlat(Rekhta Website) (Pg. 15)

    • Author: Syed Saadullah
      • Edition: 1759
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now