KHuda tha muntazir ek aadmi ka
ḳhudā thā muntazir ik aadmī kā
ye qissa hai kisī raushan sadī kā
mile jaltā huā ghar jab kisī kā
to likhnā marsiya tum raushnī kā
jo mumkin ho to zinda rakhnā rishta
anā kā aur neze kī anī kā
kahīñ ḳhushbū nafas kī uḌ na jaa.e
lifāfa band rakhnā zindagī kā
sharīf-e-shahr samjhegā bhī kaise
maza ham jaisoñ kī āvārgī kā
KHuda tha muntazir ek aadmi ka
ye qissa hai kisi raushan sadi ka
mile jalta hua ghar jab kisi ka
to likhna marsiya tum raushni ka
jo mumkin ho to zinda rakhna rishta
ana ka aur neze ki ani ka
kahin KHushbu nafas ki uD na jae
lifafa band rakhna zindagi ka
sharif-e-shahr samjhega bhi kaise
maza hum jaison ki aawargi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.