Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda tu itni bhi mahrumiyan na tari rakh

Imran Badayuni

KHuda tu itni bhi mahrumiyan na tari rakh

Imran Badayuni

MORE BYImran Badayuni

    ḳhudā itnī bhī mahrūmiyāñ na taarī rakh

    hamāre jism meñ ik ruuh to hamārī rakh

    isī bahāne shāyad tirā ḳhayāl rakhe

    apne aap pe duniyā kuchh udhārī rakh

    tamām ḳhvāb tire gal na jaa.eñ is meñ

    yuuñ har samay na mire yaar āñkheñ khārī rakh

    lahū se byaaj chukānā paḌegā ab tujh ko

    diyā ye mashvara kis ne ki jaañ udhārī rakh

    talāsh karnā paḌe hañsne sabab tujh ko

    ai zindagī na itnī bhī hoshiyārī rakh

    bikhar rahī hai magar kyā pata sambhal jaa.e

    is kahānī meñ ab dāstāñ hamārī rakh

    na jaane kaun vibhīshan use batā aayā

    hai merī jaan usūloñ meñ choT jaarī rakh

    qalam udaas hai sahme hue haiñ saare varaq

    ġham-e-hayāt na yuuñ shā.irī pe taarī rakh

    judā huā hai to sāmān bhī alag kar le

    mujhe faqīrī de aur apnī tāj-dārī rakh

    vafā ḳhulūs daġhā jhuuT sab maiñ dekhūñ to

    mere sāmne har chiiz baarī baarī rakh

    mashīnī daur meñ jazbāt kyā bayāñ karnā

    chhupā ke yaar tabassum meñ be-qarārī rakh

    kuchh ek raaz to vājib haiñ is jahāñ ke liye

    har ek baat na 'āzād' ishtihārī rakh

    KHuda tu itni bhi mahrumiyan na tari rakh

    hamare jism mein ek ruh to hamari rakh

    isi bahane hi shayad tera KHayal rakhe

    tu apne aap pe duniya ki kuchh udhaari rakh

    tamam KHwab tere gal na jaen is mein hi

    yun har samay na mere yar aankhen khaari rakh

    lahu se byaj chukana paDega ab tujh ko

    diya ye mashwara kis ne ki jaan udhaari rakh

    talash karna paDe hansne ka sabab tujh ko

    ai zindagi na tu itni bhi hoshiyari rakh

    bikhar rahi hai magar kya pata sambhal jae

    tu is kahani mein ab dastan hamari rakh

    na jaane kaun wibhishan use bata aaya

    hai meri jaan usulon mein choT jari rakh

    qalam udas hai sahme hue hain sare waraq

    gham-e-hayat na yun shairi pe tari rakh

    juda hua hai to saman bhi alag kar le

    mujhe faqiri de aur apni taj-dari rakh

    wafa KHulus dagha jhuT sab main dekhun to

    tu mere samne har chiz bari bari rakh

    mashini daur mein jazbaat kya bayan karna

    chhupa ke yar tabassum mein be-qarari rakh

    kuchh ek raaz to wajib hain is jahan ke liye

    har ek baat na 'azad' ishtihaari rakh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now