Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHudai mujhko mil jati KHuda-e-do-jahan milta

Afqar Mohani

KHudai mujhko mil jati KHuda-e-do-jahan milta

Afqar Mohani

MORE BYAfqar Mohani

    ḳhudā.ī mujh ko mil jaatī ḳhudā-e-do-jahāñ miltā

    jo tum milte to goyā hāsil-e-kaun-o-makāñ miltā

    ġhulām-e-sāqī-e-kausar huuñ mai kyā kamī mujh ko

    na miltā gar yahāñ sāġhar mirā hissa vahāñ miltā

    ise kab koī saktā use kyā dekhtā koī

    nazar se duur dil vus.atoñ meñ jo nihāñ miltā

    unheñ kab niiñd aa.ī sunte sunte dil afsāna

    yahī thā vaqt jab un ko bhī lutf-e-dāstāñ miltā

    jalātī ek bijlī kyūñ-kar itne āshiyānoñ ko

    chaman ke patte patte par hamārā āshiyāñ miltā

    hamāre sajda-e-be-āstāñ ye karishma thā

    na hotā āstāñ jis vahāñ bhī āstāñ miltā

    vahāñ do chaar sajde tum bhī kar lo ke ai 'afqar'

    pa.e sajda zamīñ se jis jagah hai āsmāñ miltā

    KHudai mujh ko mil jati KHuda-e-do-jahan milta

    jo tum milte to goya hasil-e-kaun-o-makan milta

    ghulam-e-saqi-e-kausar hun mai ki kya kami mujh ko

    na milta gar yahan saghar mera hissa wahan milta

    ise kab koi pa sakta use kya dekhta koi

    nazar se dur dil ki wusaton mein jo nihan milta

    unhen kab nind aai sunte sunte dil ka afsana

    yahi tha waqt jab un ko bhi lutf-e-dastan milta

    jalati ek bijli kyun-kar itne aashiyanon ko

    chaman ke patte patte par hamara aashiyan milta

    hamare sajda-e-be-astan ka ye karishma tha

    na hota aastan jis ja wahan bhi aastan milta

    wahan do chaar sajde tum bhi kar lo ja ke ai 'afqar'

    pae sajda zamin se jis jagah hai aasman milta

    Source:

    Nazargah (Pg. 40)

    • Author: Afqar Mohani
      • Publisher: Siddique Book Depot, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now