Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHudaya zaKHmon mein shiddat-e-dard aur bhi kuchh shadid kar de

Fayyaz Uddin Saieb

KHudaya zaKHmon mein shiddat-e-dard aur bhi kuchh shadid kar de

Fayyaz Uddin Saieb

MORE BYFayyaz Uddin Saieb

    ḳhudāyā zaḳhmoñ meñ shiddat-e-dard aur bhī kuchh shadīd kar de

    phir is ke ba.ad in tamām zaḳhmoñ se ik suḳhan kashīd kar de

    machalnā ai dil burā nahīñ hai to zid bhī karnā durust kab hai

    kisī āñkheñ nahīñ khilaunā jo koī tujh ko ḳharīd kar de

    sabhī ne dekhā hai qatl hote magar koī boltā nahīñ hai

    mujhī ko yārab zabān de kar ye vāqi.a chashm-dīd kar de

    tirī jazā-o-sazā mantiq hamāre afkār se sivā hai

    jis ko chāhe husain kar de jis ko chāhe yazīd kar de

    ibādatoñ ke liye imārāt muḳhtalif haiñ ḳhudā vahī hai

    to chāhe mandir ko toḌ Daale ki koī masjid shahīd kar de

    KHudaya zaKHmon mein shiddat-e-dard aur bhi kuchh shadid kar de

    phir is ke baad in tamam zaKHmon se ek suKHan tu kashid kar de

    machalna ai dil bura nahin hai to zid bhi karna durust kab hai

    kisi ki aankhen nahin khilauna jo koi tujh ko KHarid kar de

    sabhi ne dekha hai qatl hote magar koi bolta nahin hai

    mujhi ko yarab zaban de kar ye waqia chashm-did kar de

    teri jaza-o-saza ki mantiq hamare afkar se siwa hai

    tu jis ko chahe husain kar de tu jis ko chahe yazid kar de

    ibaadaton ke liye imaraat muKHtalif hain KHuda wahi hai

    to chahe mandir ko toD Dale ki koi masjid shahid kar de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now