Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHudi ke josh mein fikr-e-maal-e-kar nahin

Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi

KHudi ke josh mein fikr-e-maal-e-kar nahin

Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi

MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi

    ḳhudī ke josh meñ fikr-e-ma.āl-e-kār nahīñ

    jise hai hosh da.avā vo hoshiyār nahīñ

    ḳhushī ke naam se uThtī hai huuk dil meñ

    ḳhayāl-e-aish bhī ab ham ko sāzgār nahīñ

    ab aise banda ko muḳhtār samjheñ majbūr

    jise amal tak irāde se iḳhtiyār nahīñ

    bahār aatī hai guzregī ai junūñ kyūñkar

    abhī se jaib-o-garebāñ meñ ek taar nahīñ

    har ek zarra-e-hastī hai iztirāb-farosh

    ġharaz kisī ko tire ahd meñ qarār nahīñ

    karīm terī karīmī shaan ke sadqe

    gunāh kar ke bhī mujrim gunāhgār nahīñ

    adam ko jaatā hai hastī kārvāñ ḳhāmosh

    sadā jaras nahīñ ġhul nahīñ pukār nahīñ

    sarishk-e-ḳhūñ se qafas lāla-zār hai 'farruḳh'

    ye vo chaman hai jo minnat-kash-e-bahār nahīñ

    KHudi ke josh mein fikr-e-maal-e-kar nahin

    jise hai hosh ka dawa wo hoshiyar nahin

    KHushi ke nam se uThti hai huk si dil mein

    KHayal-e-aish bhi ab hum ko sazgar nahin

    ab aise banda ko muKHtar samjhen ya majbur

    jise amal tak irade se iKHtiyar nahin

    bahaar aati hai guzregi ai junun kyunkar

    abhi se jaib-o-gareban mein ek tar nahin

    har ek zarra-e-hasti hai iztirab-farosh

    gharaz kisi ko tere ahd mein qarar nahin

    karim teri karimi ki shan ke sadqe

    gunah kar ke bhi mujrim gunahgar nahin

    adam ko jata hai hasti ka karwan KHamosh

    sada jaras ki nahin ghul nahin pukar nahin

    sarishk-e-KHun se qafas lala-zar hai 'farruKH'

    ye wo chaman hai jo minnat-kash-e-bahaar nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now