KHudi ki yaad dilane ka dukh nahin bharta
ḳhudī kī yaad dilāne kā dukh nahīñ bhartā
kisī se māñge sahāre kā dukh nahīñ bhartā
kisī ke lauT ke aane kī laakh ḳhushiyāñ hoñ
kisī ke chhoḌ ke jaane kā dukh nahīñ bhartā
na.e ye zaḳhm to milte haiñ bhar bhī jaate haiñ
vo ik shadīd purāne kā dukh nahīñ bhartā
kisī ke saath guzārā to ham bhī kar leñge
kisī ke saath guzāre kā dukh nahīñ bhartā
kahīñ bhī bhaag ke jāoge yaar sun lo tum
kahīñ bhī vaqt ke maare kā dukh nahīñ bhartā
mire habīb mire dost mire sāthī sun
kisī ke aañkh churāne kā dukh nahīñ bhartā
KHudi ki yaad dilane ka dukh nahin bharta
kisi se mange sahaare ka dukh nahin bharta
kisi ke lauT ke aane ki lakh KHushiyan hon
kisi ke chhoD ke jaane ka dukh nahin bharta
nae ye zaKHm to milte hain bhar bhi jate hain
wo ek shadid purane ka dukh nahin bharta
kisi ke sath guzara to hum bhi kar lenge
kisi ke sath guzare ka dukh nahin bharta
kahin bhi bhag ke jaoge yar sun lo tum
kahin bhi waqt ke mare ka dukh nahin bharta
mere habib mere dost mere sathi sun
kisi ke aankh churane ka dukh nahin bharta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.