Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHudi ko sabr-o-tahammul se aashna rakhna

Zaheer Ahmad Zaheer

KHudi ko sabr-o-tahammul se aashna rakhna

Zaheer Ahmad Zaheer

MORE BYZaheer Ahmad Zaheer

    ḳhudī ko sabr-o-tahammul se āshnā rakhnā

    baḌī he baat baḌā dil hausla rakhnā

    isī se hai ye mirī zindagī meñ ra.anā.ī

    mirā charāġh-e-mohabbat havā jalā rakhnā

    nahīñ hai shaan uThā kar akaḌ ke chalne meñ

    hamesha sar ko adab se jhukā huā rakhnā

    na jaane kaun lamha ho us aamad

    ḳhayāl zehn maiñ har vaqt maut rakhnā

    sañbhāl lenā bulandī pe āsmāñ mujhe

    mirī uḌaan aabrū havā rakhnā

    apne rahm-o-karam se navāz denā hameñ

    hamārī laaj mahshar meñ ai ḳhudā rakhnā

    'zahīr' shukr ḳhudā har ek pal lāzim

    laboñ ko shām-o-sahar tālib-e-duā rakhnā

    KHudi ko sabr-o-tahammul se aashna rakhna

    baDi he baat baDa dil ka hausla rakhna

    isi se hai ye meri zindagi mein ranai

    mera charagh-e-mohabbat hawa jala rakhna

    nahin hai shan uTha kar akaD ke chalne mein

    hamesha sar ko adab se jhuka hua rakhna

    na jaane kaun sa lamha ho us ki aamad ka

    KHayal zehn main har waqt maut ka rakhna

    sanbhaal lena bulandi pe aasman ki mujhe

    meri uDan ki tu aabru hawa rakhna

    tu apne rahm-o-karam se nawaz dena hamein

    hamari laj tu mahshar mein ai KHuda rakhna

    'zahir' shukr KHuda ka har ek pal lazim

    labon ko sham-o-sahar talib-e-dua rakhna

    Source:

    (Pg. 174)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now