Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHudi mera pata deti hai ab bhi

Saeed Arifi

KHudi mera pata deti hai ab bhi

Saeed Arifi

MORE BYSaeed Arifi

    ḳhudī merā pata detī hai ab bhī

    mujhe mujh se milā detī hai ab bhī

    guzishta mausamoñ narm ḳhushbū

    ta’alluq pata detī hai ab bhī

    kabhī rah rah ke ik gumnām ḳhvāhish

    safar hausla detī hai ab bhī

    ye āvāra-mizājī dasht-e-jāñ meñ

    nayā jaadū jagā detī hai ab bhī

    umīd-e-sub.h-e-nau har shām-e-ġham meñ

    thakan saarī miTā detī hai ab bhī

    chamak ḳhush-rañg lahje tumhāre

    na.ī sham'eñ jalā detī hai ab bhī

    ġhazal ke dil-rubā lahje shoḳhī

    suḳhan silsila detī hai ab bhī

    KHudi mera pata deti hai ab bhi

    mujhe mujh se mila deti hai ab bhi

    guzishta mausamon ki narm KHushbu

    ta’alluq ka pata deti hai ab bhi

    kabhi rah rah ke ek gumnam KHwahish

    safar ka hausla deti hai ab bhi

    ye aawara-mizaji dasht-e-jaan mein

    naya jadu jaga deti hai ab bhi

    umid-e-subh-e-nau har sham-e-gham mein

    thakan sari miTa deti hai ab bhi

    chamak KHush-rang lahje ki tumhaare

    nai sham'en jala deti hai ab bhi

    ghazal ke dil-ruba lahje ki shoKHi

    suKHan ka silsila deti hai ab bhi

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 657)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now