Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khula dimagh to phir dil ko saf karna paDa

Alimuddin Aleem

khula dimagh to phir dil ko saf karna paDa

Alimuddin Aleem

MORE BYAlimuddin Aleem

    khulā dimāġh to phir dil ko saaf karnā paḌā

    mirī vafā use e'tirāf karnā paḌā

    vo apne chehre pe rakhtā thā dūsrā chehra

    fareb khā ke mujhe inkishāf karnā paḌā

    thiiñ aisī kaun majbūriyāñ tumhāre liye

    ki ahl-e-dil se tumheñ iḳhtilāf karnā paḌā

    chahār samt gunāhoñ ke haath phaile the

    isī liye to mujhe etakāf karnā paḌā

    diyā jab apnī adāoñ vāsta us ne

    to bevafā ko mujhe ḳhud muaaf karnā paḌā

    ḳhudā jaane ki dekhā to kyā huā ehsās

    ki rū-e-gul nazar se tavāf karnā paḌā

    rahā na zabt yaarā to ek din āḳhir

    'alīm' apne dil meñ shigāf karnā paḌā

    khula dimagh to phir dil ko saf karna paDa

    meri wafa ka use e'tiraf karna paDa

    wo apne chehre pe rakhta tha dusra chehra

    fareb kha ke mujhe inkishaf karna paDa

    thin aisi kaun si majburiyan tumhaare liye

    ki ahl-e-dil se tumhein iKHtilaf karna paDa

    chahaar samt gunahon ke hath phaile the

    isi liye to mujhe etakaf karna paDa

    diya jab apni adaon ka wasta us ne

    to bewafa ko mujhe KHud muaf karna paDa

    KHuda hi jaane ki dekha to kya hua ehsas

    ki ru-e-gul ka nazar se tawaf karna paDa

    raha na zabt ka yara to ek din aaKHir

    'alim' apne hi dil mein shigaf karna paDa

    Source:

    Hawa Ki Yurish (Pg. 45)

    • Author: Alimuddin Aleem
      • Publisher: Gulistan Publications, Kolkata
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now