Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khule hain hath lekin panw mein beDi bandhi si hai

Gyanendra Vikram

khule hain hath lekin panw mein beDi bandhi si hai

Gyanendra Vikram

MORE BYGyanendra Vikram

    khule haiñ haath lekin paañv meñ beḌī bañdhī hai

    jise tum zindagī kahte ho mujh ko ḳhud-kushī hai

    vahī kājal vahī āñkheñ vahī bāteñ vahī chehra

    magar dil ko ye lagtā hai ki tujh meñ kuchh kamī hai

    chaḌhe ab raat mujh meñ roz koī chīḳh uThtā hai

    magar lab dekhtā huuñ to laboñ par ḳhāmushī hai

    bhram chhoḌo mere yaaro maiñ andar se bahut ḳhush huuñ

    ye āñkheñ laal haiñ merī palak shabnamī hai

    kināre kaT chuke ik buuñd paanī ko tarastī hai

    nadī ko dekh kar lagtā hai merī zindagī hai

    qasam khātī hai merī aur aksar toḌ detī hai

    mujhe nādāñ samajhtī hai vo laḌkī bāvrī hai

    khule hain hath lekin panw mein beDi bandhi si hai

    jise tum zindagi kahte ho mujh ko KHud-kushi si hai

    wahi kajal wahi aankhen wahi baaten wahi chehra

    magar dil ko ye lagta hai ki tujh mein kuchh kami si hai

    chaDhe ab raat mujh mein roz koi chiKH uThta hai

    magar lab dekhta hun to labon par KHamushi si hai

    bhram chhoDo mere yaro main andar se bahut KHush hun

    ye aankhen lal hain meri palak hi shabnami si hai

    kinare kaT chuke ek bund pani ko tarasti hai

    nadi ko dekh kar lagta hai meri zindagi si hai

    qasam khati hai meri aur aksar toD deti hai

    mujhe nadan samajhti hai wo laDki bawri si hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now