Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khulega naKHun-e-shamshir se uqda mere dil ka

Meer Kallu Arsh

khulega naKHun-e-shamshir se uqda mere dil ka

Meer Kallu Arsh

MORE BYMeer Kallu Arsh

    khulegā nāḳhun-e-shamshīr se uqda mire dil

    kisī qātil se hai āsān honā merī mushkil

    pas-e-murdan bhī ye manzūr hai nazzāra qātil

    charāġh-e-gor meñ aalam huā hai chashm-e-bismil

    ġhubār-e-dahr se ik lahza bhī ḳhālī nahīñ hotā

    ilāhī shīsha-e-sā.at hai kyā shīsha mire dil

    yahī gar zindagī bhar tab-e-ālī rahā aalam

    banegā mar ga.e par āsmāñ dasvāñ mire gil

    na toḌe rishta-e-dām aur apnā yaar dam toḌe

    hai behtar is bhaḌakne se taḌapnā tā.ir-e-dil

    jahāñ meñ kāmiloñ ko qadr hai ham ḳhāksāroñ

    shikast-e-dil-gadā ko TūTnā hai sāġhar-e-gul

    ajab hai rū-e-jānāñ par na honā ek bhī til

    adam kartā nahīñ tāroñ ko jalva māh-e-kāmil

    qayāmat lā.egā gulzār meñ naala anādil

    jagānā fitna-e-ḳhvābīda hai sayyād-e-ġhāfil

    maiñ majnūñ dekhte mar gayā is rashk-e-lailā ko

    kafan ke vāste goyā phaTā thā parda mahmil

    kiyā labrez-e-marvārīd chashm-e-gauhar afshāñ se

    gumāñ guzrā jo dariyā par mujhe dāmān-e-sāhil

    mirā ḳhvāb-ul-azīz o ġhairat-e-ḳhvāb-e-zuleḳhā hai

    tasavvur raat bhar thā mujh ko ik yūsuf-shamā.il

    maiñ aisā nā-tavāñ huuñ sar uThānā mujh ko mushkil ho

    barā-e-tauq gardan chāhiye chhallā anāmil

    kafan misl-e-katāñ hai TukḌe TukḌe 'arsh' madfan meñ

    tasavvur mar ga.e par bhī hai ye us māh-e-kāmil

    khulega naKHun-e-shamshir se uqda mere dil ka

    kisi qatil se hai aasan hona meri mushkil ka

    pas-e-murdan bhi ye manzur hai nazzara qatil ka

    charagh-e-gor mein aalam hua hai chashm-e-bismil ka

    ghubar-e-dahr se ek lahza bhi KHali nahin hota

    ilahi shisha-e-saat hai kya shisha mere dil ka

    yahi gar zindagi bhar tab-e-ali ka raha aalam

    banega mar gae par aasman daswan mere gil ka

    na toDe rishta-e-dam aur apna yar dam toDe

    hai behtar is bhaDakne se taDapna tair-e-dil ka

    jahan mein kaamilon ko qadr hai hum KHaksaron ki

    shikast-e-dil-gada ko TuTna hai saghar-e-gul ka

    ajab hai ru-e-jaanan par na hona ek bhi til ka

    adam karta nahin taron ko jalwa mah-e-kaamil ka

    qayamat laega gulzar mein nala anadil ka

    jagana fitna-e-KHwabida hai sayyaad-e-ghafil ka

    main majnun dekhte hi mar gaya is rashk-e-laila ko

    kafan ke waste goya phaTa tha parda mahmil ka

    kiya labrez-e-marwarid chashm-e-gauhar afshan se

    guman guzra jo dariya par mujhe daman-e-sahil ka

    mera KHwab-ul-aziz o ghairat-e-KHwab-e-zuleKHa hai

    tasawwur raat bhar tha mujh ko ek yusuf-shamail ka

    main aisa na-tawan hun sar uThana mujh ko mushkil ho

    bara-e-tauq gardan chahiye chhalla anamil ka

    kafan misl-e-katan hai TukDe TukDe 'arsh' madfan mein

    tasawwur mar gae par bhi hai ye us mah-e-kaamil ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now