aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khuli jab aankh to dekha ki duniya sar pe rakkhi hai

Abdul Ahad Saaz

khuli jab aankh to dekha ki duniya sar pe rakkhi hai

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    khulī jab aañkh to dekhā ki duniyā sar pe rakkhī hai

    ḳhumār-e-hosh meñ samjhe the ham Thokar pe rakkhī hai

    ta.āruf ke tale pahchān ġhā.eb ho ga.ī apnī

    ajab jaadū Topī ham ne apne sar pe rakkhī hai

    mire hone ye tasdīq-nāma kis ne likkhā hai

    gavāhī kis merī zaat ke mahzar pe rakkhī hai

    achānak gar vo be-āmad kamre meñ barāmad ho

    tavajjoh ham ne to markūz bām-o-dar pe rakkhī hai

    ajab collage hai qismat mahrūmī mehnat

    sitāre chhat pe rakkhe haiñ thakan bistar pe rakkhī hai

    matā-e-haq-aqīda ek sajde meñ churā laayā

    ḳhirad juuyā thī kis dahlīz par kis dar pe rakkhī hai

    nahīñ qaul-o-qarār-e-jān-o-dil kaafī na the us ko

    qasam us shoḳh ne āḳhir hamāre sar pe rakkhī hai

    hisāb-e-nek-o-bad jo bhī ho ham itnā samajhte haiñ

    binā-e-hashr dard-e-dil pe chashm-e-tar pe rakkhī hai

    khuli jab aankh to dekha ki duniya sar pe rakkhi hai

    KHumar-e-hosh mein samjhe the hum Thokar pe rakkhi hai

    taaruf ke tale pahchan ghaeb ho gai apni

    ajab jadu ki Topi hum ne apne sar pe rakkhi hai

    mere hone ka ye tasdiq-nama kis ne likkha hai

    gawahi kis ki meri zat ke mahzar pe rakkhi hai

    achanak gar wo be-amad hi kamre mein baramad ho

    tawajjoh hum ne to markuz baam-o-dar pe rakkhi hai

    ajab collage hai qismat ka mahrumi ka mehnat ka

    sitare chhat pe rakkhe hain thakan bistar pe rakkhi hai

    mata-e-haq-aqida ek sajde mein chura laya

    KHirad juya thi kis dahliz par kis dar pe rakkhi hai

    nahin qaul-o-qarar-e-jaan-o-dil kafi na the us ko

    qasam us shoKH ne aaKHir hamare sar pe rakkhi hai

    hisab-e-nek-o-bad jo bhi ho hum itna samajhte hain

    bina-e-hashr dard-e-dil pe chashm-e-tar pe rakkhi hai

    RECITATIONS

    Abdul Ahad Saaz

    Abdul Ahad Saaz,

    Abdul Ahad Saaz

    khuli jab aankh to dekha ki duniya sar pe rakkhi hai Abdul Ahad Saaz

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now