Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHulus chehron se hai numayan to phir nazar bad-guman kyon hai

Syed Muzaffar Ahmad Ziya

KHulus chehron se hai numayan to phir nazar bad-guman kyon hai

Syed Muzaffar Ahmad Ziya

MORE BYSyed Muzaffar Ahmad Ziya

    ḳhulūs chehroñ se hai numāyāñ to phir nazar bad-gumān kyoñ hai

    batā ki begānagī aalam mire tire darmiyān kyoñ hai

    yahāñ vafā na qadr-o-qīmat na āshnā-e-vafā hai koī

    mujhe vafā sila milegā ye mere dil meñ gumān kyoñ hai

    kabhī na maiñ us taraf se guzrā na merā dast-e-talab phailā

    to phir ye rāh-e-talab meñ āḳhir mire qadam nishān kyoñ hai

    har ek dar par jabīñ jhukānā tujhe mubārak magar ye sun le

    jo tujh meñ ḳhuddāriyāñ nahīñ haiñ to ishq ān-bān kyoñ hai

    bahut dinoñ meñ amaañ milī hai ḳhud apne saa.e meñ aa ke mujh ko

    ye sochtā huuñ ki ghar ke bāhar kisī taraf sā.ebān kyoñ hai

    na un jalva na un yādeñ na un chehra na un partav

    dimāġh rah rah ke pūchhtā hai makīñ nahīñ to makān kyoñ hai

    koī to is meñ fareb hogā jise 'ziyā' maiñ samajh na paayā

    na jaane kab se ye sochtā huuñ vo is qadar mehrbān kyoñ hai

    KHulus chehron se hai numayan to phir nazar bad-guman kyon hai

    bata ki beganagi ka aalam mere tere darmiyan kyon hai

    yahan wafa ki na qadr-o-qimat na aashna-e-wafa hai koi

    mujhe wafa ka sila milega ye mere dil mein guman kyon hai

    kabhi na main us taraf se guzra na mera dast-e-talab hi phaila

    to phir ye rah-e-talab mein aaKHir mere qadam ka nishan kyon hai

    har ek dar par jabin jhukana tujhe mubarak magar ye sun le

    jo tujh mein KHuddariyan nahin hain to ishq ki aan-ban kyon hai

    bahut dinon mein aman mili hai KHud apne sae mein aa ke mujh ko

    ye sochta hun ki ghar ke bahar kisi taraf saeban kyon hai

    na un ka jalwa na un ki yaaden na un ka chehra na un ka partaw

    dimagh rah rah ke puchhta hai makin nahin to makan kyon hai

    koi to is mein fareb hoga jise 'ziya' main samajh na paya

    na jaane kab se ye sochta hun wo is qadar mehrban kyon hai

    Source:

    Kaghazi Hai Pairahan (Pg. 180)

    • Author: Syed Muzaffar Ahmad Ziya
      • Publisher: Maktaba Mumtaz, Karachi
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now