KHumar-e-KHwab mujhe fursat-e-guman tak hai
ḳhumār-e-ḳhvāb mujhe fursat-e-gumāñ tak hai
gul-e-siyāh kī ḳhushbū shab-e-ravāñ tak hai
maiñ roz parda-e-shām-o-sahar ko dekhtā huuñ
ye intizār-e-nazar jalva-e-nihāñ tak hai
kahāñ vo ḳhvāb sī ḳhvāhish jo dil meñ rahtī thī
kahāñ ye sail-e-balā jo kanār-e-jāñ tak hai
laraz rahe haiñ sitāre ki dil dhaḌaktā hai
jo bojh ham pe hai vo dosh-e-āsmāñ tak hai
lahū meñ zā.iqa phirtā hai tere bosoñ kā
mire badan pe tire lams kā nishāñ tak hai
suḳhan se baḌh ke kahūñ aur kuchh bhī kah na sakūñ
ye merā ‘ijz-e-bayāñ hāsil-e-bayāñ tak hai
ka.ī zamāne taḌapte haiñ mere lahje meñ
ye merā giryā-e-jāñ ḳhāk-e-raftagāñ tak hai
kuchh aur der tamāshā-e-āb-o-gil hai yahāñ
sabāt-e-shīsha-e-jāñ sang-e-nāgahāñ tak hai
banā rahā huuñ maiñ sat.h-e-‘adam pe tasvīreñ
ye merā 'aib-e-hunar shauq-e-rā.egāñ tak hai
vo aur log haiñ jo mujh se milne aate haiñ
mire makān kā dar shahr-e-lā-makāñ tak hai
huī hai naqsh nigār-e-lahū meñ goyā.ī
ki zaḳhm-e-harf mirā bandish-e-zabāñ tak hai
azal se maiñ to tirā banda-e-fanā huuñ magar
ye zo'm-e-ḳhalq tirā yā-ḳhudā kahāñ tak hai
hamāre ranj tirī dilbarī kī rasmeñ haiñ
ḳhushī hamārī tirī zeb-e-dāstāñ tak hai
kuchh is se aage faqīr-e-suḳhan kā takiya hai
ye shor-e-dād-o-talab she'r kī dukāñ tak hai
kise farāġhat-e-nāz-o-adā yahāñ 'sarmad'
ġhurūr-e-shāhid-e-gul sehn-e-gulsitāñ tak hai
KHumar-e-KHwab mujhe fursat-e-guman tak hai
gul-e-siyah ki KHushbu shab-e-rawan tak hai
main roz parda-e-sham-o-sahar ko dekhta hun
ye intizar-e-nazar jalwa-e-nihan tak hai
kahan wo KHwab si KHwahish jo dil mein rahti thi
kahan ye sail-e-bala jo kanar-e-jaan tak hai
laraz rahe hain sitare ki dil dhaDakta hai
jo bojh hum pe hai wo dosh-e-asman tak hai
lahu mein zaiqa phirta hai tere boson ka
mere badan pe tere lams ka nishan tak hai
suKHan se baDh ke kahun aur kuchh bhi kah na sakun
ye mera ‘ijz-e-bayan hasil-e-bayan tak hai
kai zamane taDapte hain mere lahje mein
ye mera girya-e-jaan KHak-e-raftagan tak hai
kuchh aur der tamasha-e-ab-o-gil hai yahan
sabaat-e-shisha-e-jaan sang-e-nagahan tak hai
bana raha hun main sath-e-‘adam pe taswiren
ye mera 'aib-e-hunar shauq-e-raegan tak hai
wo aur log hain jo mujh se milne aate hain
mere makan ka dar shahr-e-la-makan tak hai
hui hai naqsh nigar-e-lahu mein goyai
ki zaKHm-e-harf mera bandish-e-zaban tak hai
azal se main to tera banda-e-fana hun magar
ye zo'm-e-KHalq tera ya-KHuda kahan tak hai
hamare ranj teri dilbari ki rasmen hain
KHushi hamari teri zeb-e-dastan tak hai
kuchh is se aage faqir-e-suKHan ka takiya hai
ye shor-e-dad-o-talab she'r ki dukan tak hai
kise faraghat-e-naz-o-ada yahan 'sarmad'
ghurur-e-shahid-e-gul sehn-e-gulsitan tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.