Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHumar-e-shab mein zamin ka chehra nikhar raha tha

Afzaal Naveed

KHumar-e-shab mein zamin ka chehra nikhar raha tha

Afzaal Naveed

MORE BYAfzaal Naveed

    ḳhumār-e-shab meñ zamīñ chehra nikhar rahā thā

    koī sitāroñ pālkī meñ utar rahā thā

    nahā rahe the shajar kisī jhiil ke kināre

    falak ke taḳhte pe chāñd baiThā sañvar rahā thā

    havā.eñ dīvār-o-dar ke pīchhe se jhāñktī thiiñ

    dhuāñ lapeTe koī galī se guzar rahā thā

    khaḌā thā merī galī se bāhar jahān saarā

    maiñ ḳhvāb meñ apne aap se baat kar rahā thā

    havā jhoñkā udaas kar ke chalā gayā hai

    abhī abhī to maiñ jām-e-ġhaflat ko bhar rahā thā

    aur ab Thahar 'naved' aage to kuchh nahīñ hai

    umr bhar is ḳhayāl se be-ḳhabar rahā thā

    KHumar-e-shab mein zamin ka chehra nikhar raha tha

    koi sitaron ki palki mein utar raha tha

    naha rahe the shajar kisi jhil ke kinare

    falak ke taKHte pe chand baiTha sanwar raha tha

    hawaen diwar-o-dar ke pichhe se jhankti thin

    dhuan lapeTe koi gali se guzar raha tha

    khaDa tha meri gali se bahar jahan sara

    main KHwab mein apne aap se baat kar raha tha

    hawa ka jhonka udas kar ke chala gaya hai

    abhi abhi to main jam-e-ghaflat ko bhar raha tha

    aur ab Thahar ja 'nawed' aage to kuchh nahin hai

    tu umr bhar is KHayal se be-KHabar raha tha

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 515)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now