Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHunuk hawa ka ye jhonka sharar kaise hua

Parkash Fikri

KHunuk hawa ka ye jhonka sharar kaise hua

Parkash Fikri

MORE BYParkash Fikri

    ḳhunuk havā ye jhoñkā sharār kaise huā

    ye merā shahr dukhoñ dayār kaise huā

    bujhe bujhe the bahut naqsh jab ki mausam ke

    lahū ke rañg un pe nikhār kaise huā

    banā huuñ jis se ḳhatā-kār sab ā.ankhoñ meñ

    vo jurm mujh se batā baar baar kaise huā

    milā na jis ko bulāvā kabhī samundar

    vo shaḳhs mauj-e-balā shikār kaise huā

    ba-shakl-e-umr milī bhiik jis se lamhoñ

    vo vaqt mere liye be-kanār kaise huā

    vo jism jis pe bahut naaz thā tujhe 'fikrī'

    vo jism dasht-e-fanā ġhubār kaise huā

    KHunuk hawa ka ye jhonka sharar kaise hua

    ye mera shahr dukhon ka dayar kaise hua

    bujhe bujhe the bahut naqsh jab ki mausam ke

    lahu ke rang ka un pe nikhaar kaise hua

    bana hun jis se KHata-kar sab ki aaankhon mein

    wo jurm mujh se bata bar bar kaise hua

    mila na jis ko bulawa kabhi samundar ka

    wo shaKHs mauj-e-bala ka shikar kaise hua

    ba-shakl-e-umr mili bhik jis se lamhon ki

    wo waqt mere liye be-kanar kaise hua

    wo jism jis pe bahut naz tha tujhe 'fikri'

    wo jism dasht-e-fana ka ghubar kaise hua

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-061) (Pg. 22)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now