KHurshid barq chand sitara mere liye
ḳhurshīd barq chāñd sitāra mire liye
us ne falak pe nuur ubhārā mire liye
sajda-garoñ ko lafz-e-'ibādat kiyā 'atā
aur ek lafz 'ishq utārā mire liye
vo fahm-o-āgahī kā hai mansab ki hai bahut
terī taraf se ek ishāra mire liye
maqrūz huuñ tirā ai mirī zindagī-sharīk
apnā bhī vaqt tū ne guzāra mire liye
māhaul kī to ḳhair bahut duur kī hai baat
tū ne kiyā mujhe bhī gavāra mire liye
jo DhūñDte haiñ aur unheñ hoñ ka.ī nasīb
'āsim' bahut hai ek sahārā mire liye
KHurshid barq chand sitara mere liye
us ne falak pe nur ubhaara mere liye
sajda-garon ko lafz-e-'ibaadat kiya 'ata
aur ek lafz 'ishq utara mere liye
wo fahm-o-agahi ka hai mansab ki hai bahut
teri taraf se ek ishaara mere liye
maqruz hun tera ai meri zindagi-sharik
apna bhi waqt tu ne guzara mere liye
mahaul ki to KHair bahut dur ki hai baat
tu ne kiya mujhe bhi gawara mere liye
jo DhunDte hain aur unhen hon kai nasib
'asim' bahut hai ek sahaara mere liye
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 117)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.