aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHurshid ki nigah se shabnam ko aas kya

Hasan Naim

KHurshid ki nigah se shabnam ko aas kya

Hasan Naim

MORE BYHasan Naim

    ḳhurshīd nigāh se shabnam ko aas kyā

    tasvīr-e-rozgār se dil hai udaas kyā

    shohrat gard ḳhvāb ke tūfāñ ġhamoñ dhuul

    in ke sivā hai aur zamāne ke paas kyā

    TuuTā na zor-e-ġham na zamāne sar jhukā

    niklegī vasl-e-yār se dil bhaḌās kyā

    ham ko kitāb-e-zīst har baab hifz hai

    ik bāb-e-ġham sirf paḌheñ iqtibās kyā

    nikle haiñ zahr karb meñ bujh kar tamām lafz

    gholeñ subū-e-sher meñ ġham miThās kyā

    jin nazar meñ hech hai tāj-e-hunar 'na.īm'

    un ke huzūr maiñ kyā mirī iltimās kyā

    KHurshid ki nigah se shabnam ko aas kya

    taswir-e-rozgar se dil hai udas kya

    shohrat ki gard KHwab ke tufan ghamon ki dhul

    in ke siwa hai aur zamane ke pas kya

    TuTa na zor-e-gham na zamane ka sar jhuka

    niklegi wasl-e-yar se dil ki bhaDas kya

    hum ko kitab-e-zist ka har bab hifz hai

    ek bab-e-gham ka sirf paDhen iqtibas kya

    nikle hain zahr karb mein bujh kar tamam lafz

    gholen subu-e-sher mein gham ki miThas kya

    jin ki nazar mein hech hai taj-e-hunar 'naim'

    un ke huzur main kya meri iltimas kya

    Source:

    Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 118)

    • Author: Ahmad Kafeel
      • Edition: 2006
      • Publisher: Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now