KHush bahut rahta hun main thoDa sa gham de dijiye
ḳhush bahut rahtā huuñ maiñ thoḌā sā ġham de dījiye
yaar yuuñ kiije mujhe lauh-o-qalam de dījiye
yaad rakhiye jab mire 'āshiq baneñge aap tab
hukm hogā bas mirī chaukhaT pe dam de dījiye
aap haiñ mahbūb itnī sādgī achchhī nahīñ
muskurā kar ik zarā zulfoñ ko ḳham de dījiye
aap jām-e-tishnagī bhar dījiye aġhyār kā
aur yuuñ kiije hameñ auroñ se kam de dījiye
ḳhushk hoñThoñ par mire rakh dījiye aap apne hoñTh
sair kar diije mirā āb-e-iram de dījiye
KHush bahut rahta hun main thoDa sa gham de dijiye
yar yun kije mujhe lauh-o-qalam de dijiye
yaad rakhiye jab mere 'ashiq banenge aap tab
hukm hoga bas meri chaukhaT pe dam de dijiye
aap hain mahbub itni sadgi achchhi nahin
muskura kar ek zara zulfon ko KHam de dijiye
aap jam-e-tishnagi bhar dijiye aghyar ka
aur yun kije hamein auron se kam de dijiye
KHushk honThon par mere rakh dijiye aap apne honTh
sair kar dije mera aab-e-iram de dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.