aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHush bayaban mein magar shahr mein Darna us ka

Kishwar Naheed

KHush bayaban mein magar shahr mein Darna us ka

Kishwar Naheed

MORE BYKishwar Naheed

    ḳhush bayābāñ meñ magar shahr meñ Darnā us

    kaasa hāthoñ meñ liye ghar meñ bhī phirnā us

    dil dukhā ke kabhī hañsnā kabhī ronā us

    mere āñgan meñ likhā thā nahīñ basnā us

    us ne tanhā.ī meñ bhī anjuman-ārā.ī

    chāñd ne dekh liyā āñkhoñ ko bharnā us

    maiñ ne dekhā hai sar-e-shām udāsī ḳhirām

    paañv meñ chhāle pahan ke na Thaharnā us

    aa.ina dekhnā manzūr nahīñ thā us ko

    lutf detā thā havā ban ke guzarnā us

    har ḳhalish aan ke ruktī thī mirī bāñhoñ meñ

    zindagī dekhtī rahtī thī taḌapnā us

    hai ajab tarz-e-mulāqāt ajab tarz-e-safar

    paas aa ke na Thaharnā na guzarnā us

    KHush bayaban mein magar shahr mein Darna us ka

    kasa hathon mein liye ghar mein bhi phirna us ka

    dil dukha ke kabhi hansna kabhi rona us ka

    mere aangan mein likha tha nahin basna us ka

    us ne tanhai mein bhi anjuman-arai ki

    chand ne dekh liya aankhon ko bharna us ka

    main ne dekha hai sar-e-sham udasi ka KHiram

    panw mein chhaale pahan ke na Thaharna us ka

    aaina dekhna manzur nahin tha us ko

    lutf deta tha hawa ban ke guzarna us ka

    har KHalish aan ke rukti thi meri banhon mein

    zindagi dekhti rahti thi taDapna us ka

    hai ajab tarz-e-mulaqat ajab tarz-e-safar

    pas aa ke na Thaharna na guzarna us ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now