Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHush-fahmiyon ko dard ka rishta aziz tha

Nashtar Khaanqahi

KHush-fahmiyon ko dard ka rishta aziz tha

Nashtar Khaanqahi

MORE BYNashtar Khaanqahi

    ḳhush-fahmiyoñ ko dard rishta aziiz thā

    kāġhaz naav thī jise dariyā aziiz thā

    ai tañgi-e-dayār-e-tamannā batā mujhe

    vo paañv kyā hue jinheñ sahrā aziiz thā

    pūchho na kuchh ki shahr meñ tum ho na.e na.e

    ik din mujhe bhī sair o tamāshā aziiz thā

    be-ās intizār o tavaqqo baġhair shak

    ab tum se kyā kaheñ hameñ kyā kyā aziiz thā

    vāda-ḳhilāfiyoñ pe thā shikvoñ inhisār

    jhūTā sahī magar mujhe vaada aziiz thā

    ik rasm-e-bevafā.ī thī vo bhī huī tamām

    vo yār-e-bevafā mujhe kitnā aziiz thā

    yādeñ mujhe na jurm-e-ta.alluq deñ sazā

    merā koī na maiñ kisī aziiz thā

    KHush-fahmiyon ko dard ka rishta aziz tha

    kaghaz ki naw thi jise dariya aziz tha

    ai tangi-e-dayar-e-tamanna bata mujhe

    wo panw kya hue jinhen sahra aziz tha

    puchho na kuchh ki shahr mein tum ho nae nae

    ek din mujhe bhi sair o tamasha aziz tha

    be-as intizar o tawaqqo baghair shak

    ab tum se kya kahen hamein kya kya aziz tha

    wada-KHilafiyon pe tha shikwon ka inhisar

    jhuTa sahi magar mujhe wada aziz tha

    ek rasm-e-bewafai thi wo bhi hui tamam

    wo yar-e-bewafa mujhe kitna aziz tha

    yaaden mujhe na jurm-e-talluq ki den saza

    mera koi na main hi kisi ka aziz tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHush-fahmiyon ko dard ka rishta aziz tha Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now