aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHush-fahmiyon ko ghaur ka yara nahin raha

Yaqoob Usmani

KHush-fahmiyon ko ghaur ka yara nahin raha

Yaqoob Usmani

MORE BYYaqoob Usmani

    ḳhush-fahmiyoñ ko ġhaur yaarā nahīñ rahā

    tūfāñ zad se duur kinārā nahīñ rahā

    baḌh baḌh ke DhūñDhte haiñ panāheñ na.ī na.ī

    fitnoñ ko tīrgī sahārā nahīñ rahā

    biitā bayāñ bahā-e-tamannā baḌhā ga.iiñ

    naqd-e-sukūñ gañvā ke ḳhasārā nahīñ rahā

    baaqī thā jis ke dam se bharam ehtiyāj

    himmat ko vo karam bhī gavārā nahīñ rahā

    nāzāñ hai apnī fat.h pe is tarah maut aaj

    jaise koī hayāt maarā nahīñ rahā

    ḳhurshīd inqalāb ā.īna ho to ho

    mizhgāñ se gir ke ashk sitārā nahīñ rahā

    'yāqūb' lamhe lamhe se zāhir hai be-ruḳhī

    sāhil-navāz vaqt dhārā nahīñ rahā

    KHush-fahmiyon ko ghaur ka yara nahin raha

    tufan ki zad se dur kinara nahin raha

    baDh baDh ke DhunDhte hain panahen nai nai

    fitnon ko tirgi ka sahaara nahin raha

    bita bayan baha-e-tamanna baDha gain

    naqd-e-sukun ganwa ke KHasara nahin raha

    baqi tha jis ke dam se bharam ehtiyaj ka

    himmat ko wo karam bhi gawara nahin raha

    nazan hai apni fath pe is tarah maut aaj

    jaise koi hayat ka mara nahin raha

    KHurshid inqalab ka aaina ho to ho

    mizhgan se gir ke ashk sitara nahin raha

    'yaqub' lamhe lamhe se zahir hai be-ruKHi

    sahil-nawaz waqt ka dhaara nahin raha

    Source:

    Sang-e-meel (Pg. B-110 E-107)

    • Author: Yaqoob Usmani
      • Edition: 1954
      • Publisher: Maktaba Shahrah, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now