KHush kahan gham mein giraftar hun main
ḳhush kahāñ ġham meñ giraftār huuñ maiñ
muskurātā huuñ adākār huuñ maiñ
vo kahāñ pūchhte haiñ haal mirā
un ko mā'lūm hai bīmār huuñ maiñ
mast chaukhaT pe paḌā rahne de
'azmat-e-'ishq se sarshār huuñ maiñ
chashm-e-hairat se mujhe sab dekho
apne hī ranj se do-chār huuñ maiñ
bhūlnā chāho bhī to bhuul na paao
ban ke aañsū bhī numūdār huuñ maiñ
'maz.har'-e-kashf ke afsānoñ kā
koī bhūlā huā kirdār huuñ maiñ
KHush kahan gham mein giraftar hun main
muskuraata hun adakar hun main
wo kahan puchhte hain haal mera
un ko ma'lum hai bimar hun main
mast chaukhaT pe paDa rahne de
'azmat-e-'ishq se sarshaar hun main
chashm-e-hairat se mujhe sab dekho
apne hi ranj se do-chaar hun main
bhulna chaho bhi to bhul na pao
ban ke aansu bhi numudar hun main
'mazhar'-e-kashf ke afsanon ka
koi bhula hua kirdar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.