KHush-mizaji ka dikhawa nahin hota mujhse
ḳhush-mizājī kā dikhāvā nahīñ hotā mujh se
koī mātam bhī ziyāda nahīñ hotā mujh se
aur bikhrī huī chīzeñ to uTheñgī hī kyā
apnā malba bhī ikaTThā nahīñ hotā mujh se
yuuñ to mushkil nahīñ hai kuchh bhī mire hāthoñ ko
ek sahrā hai jo dariyā nahīñ hotā mujh se
zindagī tere ta'āqub meñ lagā rahtā huuñ
aur kisī ḳhvāb kā pīchhā nahīñ hotā mujh se
KHush-mizaji ka dikhawa nahin hota mujh se
koi matam bhi ziyaada nahin hota mujh se
aur bikhri hui chizen to uThengi hi kya
apna malba bhi ikaTTha nahin hota mujh se
yun to mushkil nahin hai kuchh bhi mere hathon ko
ek sahra hai jo dariya nahin hota mujh se
zindagi tere ta'aqub mein laga rahta hun
aur kisi KHwab ka pichha nahin hota mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.