Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHush-nawai tere nairang se Dar lagta hai

Naseem Siddiqi

KHush-nawai tere nairang se Dar lagta hai

Naseem Siddiqi

MORE BYNaseem Siddiqi

    ḳhush-navā.ī tere nairañg se Dar lagtā hai

    marhabā suniye to āhañg se Dar lagtā hai

    ho kharā baañT to tulne se nahīñ koī gurez

    haañ magar jumbish-e-pāsañg se Dar lagtā hai

    maslahat ye kafan rakhtā hai be-dāġh hameñ

    ahl-e-īmān haiñ ham-rañg se Dar lagtā hai

    ham jo talvār uThā leñ to qayāmat aa jaa.e

    haañ magar ye ki hameñ jañg se Dar lagtā hai

    fāsla dil hai duniyā se mahz ik farsañg

    aur hameñ bas usī farsañg se Dar lagtā hai

    Dar nahīñ lagtā kisī ḳhvāb se ham ko lekin

    us ta.abīr farhañg se Dar lagtā hai

    āhanī azm hoñ par aañkh bhī nam hai merī

    bhīge mausam meñ mujhe zañg se Dar lagtā hai

    sar ko dīvār se mahfūz rakhā hai pa 'nasīm'

    apnī muTThī meñ chhupe sañg se Dar lagtā hai

    KHush-nawai tere nairang se Dar lagta hai

    marhaba suniye to aahang se Dar lagta hai

    ho khara banT to tulne se nahin koi gurez

    han magar jumbish-e-pasang se Dar lagta hai

    maslahat ka ye kafan rakhta hai be-dagh hamein

    ahl-e-iman hain ham-rang se Dar lagta hai

    hum jo talwar uTha len to qayamat aa jae

    han magar ye ki hamein jang se Dar lagta hai

    fasla dil ka hai duniya se mahz ek farsang

    aur hamein bas usi farsang se Dar lagta hai

    Dar nahin lagta kisi KHwab se hum ko lekin

    us ki tabir ki farhang se Dar lagta hai

    aahani azm hon par aankh bhi nam hai meri

    bhige mausam mein mujhe zang se Dar lagta hai

    sar ko diwar se mahfuz rakha hai pa 'nasim'

    apni muTThi mein chhupe sang se Dar lagta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now