Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHush-numai se mawara tu hai

Zafar Awan

KHush-numai se mawara tu hai

Zafar Awan

MORE BYZafar Awan

    ḳhush-numā.ī se māvarā hai

    hai agar koī haq-numā hai

    mehvar hai merī gardish

    aur markaz bhī bā-ḳhudā hai

    merā maqsad nahīñ hai diid faqat

    merā har ek mudda.ā hai

    jaan levā hai zahr vahshat

    jis tiryāk maut hai

    fahm-o-idrāk se jo baalā hai

    vo kahānī vo mājrā hai

    darmiyāñ bhī hai in.ikās tirā

    ibtidā aur intihā hai

    mujh ko tuġhyāniyoñ ḳhauf nahīñ

    merī kashtī nāḳhudā hai

    saaqī hai hauz-e-kausar

    mohammad hai mustafā hai

    KHush-numai se mawara tu hai

    hai agar koi haq-numa tu hai

    tu hi mehwar hai meri gardish ka

    aur markaz bhi ba-KHuda tu hai

    mera maqsad nahin hai did faqat

    mera har ek muddaa tu hai

    jaan lewa hai zahr wahshat ka

    jis ka tiryak maut ya tu hai

    fahm-o-idrak se jo baala hai

    wo kahani wo majra tu hai

    darmiyan bhi hai inikas tera

    ibtida aur intiha tu hai

    mujh ko tughyaniyon ka KHauf nahin

    meri kashti ka naKHuda tu hai

    tu hi saqi hai hauz-e-kausar ka

    tu mohammad hai mustafa tu hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now