Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHush-shanasi ka bharam TuTa na tha

Khalish Qadiri

KHush-shanasi ka bharam TuTa na tha

Khalish Qadiri

MORE BYKhalish Qadiri

    ḳhush-shanāsī bharam TuuTā na thā

    aa.ine meñ muñh kabhī dekhā na thā

    mere ghar chāñdī na thī sonā na thā

    maiñ kabhī ārām se soyā na thā

    har koī thā shahr meñ ḳhanjar-ba-dast

    aur qātil koī chehra na thā

    guftugū ilzām ḳhāmoshī azaab

    hādisa aisā kabhī dekhā na thā

    dil meñ ik zauq-e-tajassus thā 'ḳhalish'

    sāmne manzil na thī jaada na thā

    KHush-shanasi ka bharam TuTa na tha

    aaine mein munh kabhi dekha na tha

    mere ghar chandi na thi sona na tha

    main kabhi aaram se soya na tha

    har koi tha shahr mein KHanjar-ba-dast

    aur qatil sa koi chehra na tha

    guftugu ilzam KHamoshi azab

    hadisa aisa kabhi dekha na tha

    dil mein ek zauq-e-tajassus tha 'KHalish'

    samne manzil na thi jada na tha

    Source:

    Widrabh mein Jadeed Urdu Shairi: Ek Motala (Pg. 81)

      • Publisher: Mohammad Azhar Hayat
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now