KHusha ai dil alam ki ye farawani mubarak ho
ḳhushā ai dil alam kī ye farāvānī mubārak ho
‘atā-e-‘ishq hai jo bhī pareshānī mubārak ho
vo jalva 'aks hai mā'kūs hai ḳhud aa.ina hai vo
tahayyur dil ko āñkhoñ ko ye hairānī mubārak ho
chalī aa.ī huuñ duniyā chhoḌ kar terī ġhulāmī meñ
mire dil kī mire shāhā ye sultānī mubārak ho
tujhe ai dil bhalā bazm-e-tarab se lenā denā kyā
hai nisbat qais se tujh ko bayābānī mubārak ho
kahāñ kā sahl thā tasḳhīr karnā sang ko āḳhir
kiyā hai mom jis ne aañkh kā paanī mubārak ho
tumhī the nā rihā.ī kī du'ā dete the logoñ ko
sunā hai 'ishq ke tum bhī ho zindānī mubārak ho
isī hangāme par mauqūf hai bas zindagī apnī
jo barpā kī hai dil ne hashr-sāmānī mubārak ho
zabāñ se kab kahā jaatā use hāl-e-darūñ us par
hai kholā jis ne zaḳhm-e-dil kī 'uryānī mubārak ho
hisār un bāzuoñ kā hai hifāzat ke liye 'nasrīñ'
mayassar hai un āñkhoñ kī nigahbānī mubārak ho
KHusha ai dil alam ki ye farawani mubarak ho
‘ata-e-‘ishq hai jo bhi pareshani mubarak ho
wo jalwa 'aks hai ma'kus hai KHud aaina hai wo
tahayyur dil ko aankhon ko ye hairani mubarak ho
chali aai hun duniya chhoD kar teri ghulami mein
mere dil ki mere shaha ye sultani mubarak ho
tujhe ai dil bhala bazm-e-tarab se lena dena kya
hai nisbat qais se tujh ko bayabani mubarak ho
kahan ka sahl tha tasKHir karna sang ko aaKHir
kiya hai mom jis ne aankh ka pani mubarak ho
tumhi the na rihai ki du'a dete the logon ko
suna hai 'ishq ke tum bhi ho zindani mubarak ho
isi hangame par mauquf hai bas zindagi apni
jo barpa ki hai dil ne hashr-samani mubarak ho
zaban se kab kaha jata use haal-e-darun us par
hai khola jis ne zaKHm-e-dil ki 'uryani mubarak ho
hisar un bazuon ka hai hifazat ke liye 'nasrin'
mayassar hai un aankhon ki nigahbani mubarak ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.