KHusha-qismat tumhein is dil mein mehman kar diya humne

KHusha-qismat tumhein is dil mein mehman kar diya humne
Hasan Nawab Hasan
MORE BYHasan Nawab Hasan
ḳhushā-qismat tumheñ is dil meñ mehmāñ kar diyā ham ne
tum aa.e to bayābāñ ko gulistāñ kar diyā ham ne
mirī vīrānī-e-dil par ye ik ehsāñ tumhārā hai
tum utre dil meñ jab dil ko bayābāñ kar diyā ham ne
chaman kī tīrgī jab ho ga.ī bardāsht se bāhar
nasheman phūñk kar apnā charāġhāñ kar diyā ham ne
mirī dīvāngī phir bhī na raas aa.ī zamāne ko
dikhāne zaḳhm-e-dil chāk-e-garebāñ kar diyā ham ne
taġhāful meñ zarūr us ke rahīñ majbūriyāñ shāmil
isī ḳhush-fahmī se jiine kā sāmāñ kar diyā ham ne
mohabbat kā bhram qaa.em rahā furqat meñ ḳhush rah kar
'hasan' ḳhud par bhī un par bhī ye ehsāñ kar diyā ham ne
KHusha-qismat tumhein is dil mein mehman kar diya hum ne
tum aae to bayaban ko gulistan kar diya hum ne
meri virani-e-dil par ye ek ehsan tumhaara hai
tum utre dil mein jab dil ko bayaban kar diya hum ne
chaman ki tirgi jab ho gai bardasht se bahar
nasheman phunk kar apna charaghan kar diya hum ne
meri diwangi phir bhi na ras aai zamane ko
dikhane zaKHm-e-dil chaak-e-gareban kar diya hum ne
taghaful mein zarur us ke rahin majburiyan shamil
isi KHush-fahmi se jine ka saman kar diya hum ne
mohabbat ka bhram qaem raha furqat mein KHush rah kar
'hasan' KHud par bhi un par bhi ye ehsan kar diya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.