Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushbuon ki dasht se hamsaegi taDpaegi

Hakeem Manzoor

KHushbuon ki dasht se hamsaegi taDpaegi

Hakeem Manzoor

MORE BYHakeem Manzoor

    ḳhushbuoñ dasht se hamsā.egī taḌpā.egī

    jis ko bhī hāsil huī ye āgahī taḌpā.egī

    raushnī ko guñg hote jis ne dekhā ho kabhī

    kis havāle se use tīra-shabī taḌpā.egī

    kāḌhtā thā maiñ sañg-e-saḳht par resham se phuul

    kyā ḳhabar thī ye nazar shā.istagī taḌpā.egī

    ḳhvāb the pāyāb is dukh nahīñ kab thī ḳhabar

    mujh ko ta.abīroñ ik be-qāmatī taḌpā.egī

    maiñ na kahtā thā ki sho.aloñ se na karnā dostī

    maiñ na kahtā thā ki ye dariyā-dilī taḌpā.egī

    zāviya-dar-zāviya manzar badalte jā.eñge

    aañkh saarī aañkh bhar ye zindagī taḌpā.egī

    naġhme chup haiñ aur rut bhī kah rahī hai chup raho

    kis ko ab dil ye nā-āsūdgī taḌpā.egī

    aur ik din dasht bādal se churā.eñge nazar

    aur mujh ko is ye be-ḳhāngī taḌpā.egī

    kuchh na kuchh 'manzūr' dil se rābta rah jā.egā

    us ko mujh se dostī dushmanī taḌpā.egī

    KHushbuon ki dasht se hamsaegi taDpaegi

    jis ko bhi hasil hui ye aagahi taDpaegi

    raushni ko gung hote jis ne dekha ho kabhi

    kis hawale se use tira-shabi taDpaegi

    kaDhta tha main hi sang-e-saKHt par resham se phul

    kya KHabar thi ye nazar shaistagi taDpaegi

    KHwab the payab is ka dukh nahin kab thi KHabar

    mujh ko tabiron ki ek be-qamati taDpaegi

    main na kahta tha ki shoalon se na karna dosti

    main na kahta tha ki ye dariya-dili taDpaegi

    zawiya-dar-zawiya manzar badalte jaenge

    aankh sari aankh bhar ye zindagi taDpaegi

    naghme chup hain aur rut bhi kah rahi hai chup raho

    kis ko ab dil ki ye na-asudgi taDpaegi

    aur ek din dasht baadal se churaenge nazar

    aur mujh ko is ki ye be-KHangi taDpaegi

    kuchh na kuchh 'manzur' dil se rabta rah jaega

    us ko mujh se dosti ya dushmani taDpaegi

    Source:

    Sher-e-Aasman (Pg. 92)

    • Author: Hakim Manzoor
      • Publisher: Maktaba aariz
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now