KHushbu-e-raegani aasab muzmahil se
ḳhushbū-e-rā.egānī ā'sāb muzmahil se
ham bhī ḳhajil ḳhajil se tum bhī ḳhajil ḳhajil se
āvāz de rahī haiñ nādīda kahkashā.eñ
lekin mafar kahāñ is zindān-e-āb-o-gil se
āñkhoñ se terī ham ne lutf-e-duī ko jaanā
tauhīd ham ne samjhī tere laboñ ke til se
kyoñ naam tū ne apnā ḳhāmoshī rakh liyā hai
jī chāhtā hai pūchheñ is shor-e-mustaqil se
dekhā tamām bastī vīrān ho chukī thī
utre zamīn-e-dil par jab āsmān-e-dil se
KHushbu-e-raegani aa'sab muzmahil se
hum bhi KHajil KHajil se tum bhi KHajil KHajil se
aawaz de rahi hain nadida kahkashaen
lekin mafar kahan is zindan-e-ab-o-gil se
aankhon se teri hum ne lutf-e-dui ko jaana
tauhid hum ne samjhi tere labon ke til se
kyon nam tu ne apna KHamoshi rakh liya hai
ji chahta hai puchhen is shor-e-mustaqil se
dekha tamam basti viran ho chuki thi
utre zamin-e-dil par jab aasman-e-dil se
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 83)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.