Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushbu hai shararat hai rangin jawani hai

Saifi Premi

KHushbu hai shararat hai rangin jawani hai

Saifi Premi

MORE BYSaifi Premi

    ḳhushbū hai sharārat hai rañgīn javānī hai

    yādoñ ke paristāñ meñ shīshe kahānī hai

    maazī haqīqat hai is daur meñ afsāna

    siitā bhī kahānī hai mariyam bhī kahānī hai

    dushman se ḳhatar vaalo lamhoñ pe nazar rakhnā

    har lamha-e-hastī bhī talvār paanī hai

    hoñToñ mahak uThnā āñchal Dhalak jaanā

    in paak gunāhoñ tārīḳh purānī hai

    is shoḳh ke matavālo rag rag se lahū māñgo

    patthar pe ġham-e-dil tasvīr banānī hai

    barsāt meñ bhīgā hai doshīza badan us

    nāseh ko bhī bulvā lo ab aag meñ paanī hai

    tārīḳh-e-badāyūñ meñ mārūf suḳhan-var haiñ

    'saifī' nazar lekin girvīda-e-'fānī' hai

    KHushbu hai shararat hai rangin jawani hai

    yaadon ke paristan mein shishe ki kahani hai

    mazi ki haqiqat hai is daur mein afsana

    sita bhi kahani hai mariyam bhi kahani hai

    dushman se KHatar walo lamhon pe nazar rakhna

    har lamha-e-hasti bhi talwar ka pani hai

    honTon ka mahak uThna aanchal ka Dhalak jaana

    in pak gunahon ki tariKH purani hai

    is shoKH ke matawalo rag rag se lahu mango

    patthar pe gham-e-dil ki taswir banani hai

    barsat mein bhiga hai doshiza badan us ka

    naseh ko bhi bulwa lo ab aag mein pani hai

    tariKH-e-badayun mein maruf suKHan-war hain

    'saifi' ki nazar lekin girwida-e-'fani' hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 228)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now